Wah Kia Jood-o-Karam Hai Shah-Aey Batha Teyra
Nahi(n) Sunta Hee Nahi(n) Maang-Nay Waala Teyra
Mein Tou Malik Hee Kahoo(n)ga Kay Ho Malik Kay Habeeb
Ya’anee Mehboob-o-Muhib Mei(n) Nahi(n) Meyra Teyra
Teray Qadmo(n) Mei(n) Joe Hai Ghayr Ka Moo(n) Kia Dekhay(n)
Kon Nazro(n) Pe Charr-Hay Dekh Kay Talwa Teyra
Teray Tukro(n) Pey Palay Ghayr Ki Thokar Pey Na Daal
Jhirkiya(n) Khaayei(n) Kaha(n) Chor Kay Sadqa Teyra
Aik Mei(n) Kia Meray Isi’ayan Kee Haqeeqat Kitnee
Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Teyra
Farsh Waalay Tery Shaukat Ka U’lu Kya Dekhei(n)
Khusrawa Arsh Pay Urrta Hai Phareyra Teyra
Tery Sarkaar Mei(n) Laata Hai Raza Uss Ko Shafe’e
Joe Meyra Ghaus Hai Aur Laadla Beyta Teyra
Chamak Tujh Say Paatay Hai(n) Sub Paanay Waalay
Meyra Dil Bhee Chamkaday Chamkanay Waalay
Barasta Nahi(n) Deykh Kar Abray Rehmat
Ba(dd)on Per Bhee Barsaaday Barsanay Waalay
Madeenay Kay (Kh)ittay (Kh)uda Tujh Ko Rakhay
(Gh)areebou(n) Faqeero(n) Kay T(eh)ranay Waalay
Tu Zinda Hae WAllah Tu Zinda Hae WAllah
Meyree (Ch)asm-e-A’alam Say (Ch)up Jaanay Waalay
Mey(n) Mujrim Hoo(n) Aaqa Mujhay Saath Leylo
Keh Rastay Mey(n) Hay(n) Jaa Bajaa Thaanay Waalay
Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Kay (Ch)alna
Array Sarr Ka Mauqa Hae O Jaanay Waalay
Ab Aa-ee Shafa’at Kee Saa’at Ab Aa-ee
Zara Chayn Lay Meyray Ghabranay Waalay
Raza Nafs Du(sh)mun Hae Dum May(n) Naa Aana
Kaha(n) Tum Nay Deykhay Hay(n) (Ch)undranay Waalay
Unkee Mehek Nay Dil Kay (Gh)un(ch)ay Khilaa Diyay Hai(n)
Jiss Raah (Ch)al Gayey Hai(n) Koo(ch)ay Basaa Diyay Hai(n)
Jab Aagayee Hay(n) Josh-e-Rehmat Pay Unkee Aankhei(n)
Jaltay Bujhaa Diyay Hai(n) Routay Hassa Diyay Hai(n)
Aanay Dou Ya Dey-bou-dou Ab Tou Tumharee Jaanib
Kashtee Tumhee Pay Chor-ee Lungar Uthaa Di-yay Hai(n)
Allah! Kiya Jahannum Ab Bhee Naa Sard Hoga
Rou Rou Kay Mustafa Nay Darya Ba-Ha Diyay Hai(n)
Mayray Kareem Say Gar Qatra Kissee Nay Maanga
Darya Ba-Ha Diyay Hain Durbay Ba-Ha Diyay Hai(n)
Unkay Nisaar Ko-ee Kaesay Hee Runj Mey(n) Ho
Jab Yaad Aagayay Hai(n) Sub (Gh)am Bhulaa Diyay Hai(n)
Mulk-e-Su(kh)an Kee (Sh)ahee Tum Ko Raza Musallam
Jiss Symt Aagayay Ho Si(kk)ay Bith-aa Diyay Hai(n)
Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaa(n) Nahee(n)
Yay-hee Phool (Kh)aar Say Duur Hay Yay-hee Sham’a Hai Kay Dhu-aan Nahee(n)
Ba(Kh)uda (Kh)uda Ka Yay-hee Hay Darr Nahi(n) Aur Koi Maffar Maqqar
Joe Wahaa(n) Say Ho Yahee(n) Aakay Ho Joe Yahaa(n) Nahee(n) Tou Waha(n) Nahee(n)
Teyray Aagay You(n) Hay(n) Dabbay La(ch)ay Fu-saha A’rab Kay Ba(rr)ay Ba(rr)ay
Ko-ee Jaanay Moo(n) May(n) Zubaa(n) Nahee(n) Nahee(n) Balkay Jism Mei(n) Jaa(n) Nahee(n)
Wo-hee Noor-e-Haq Wo-hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Nahee(n) Unkee Milk Mey(n) Aasmaa(n) Ke Zamee(n) Nahi(n) Ke Zamaa(n) Nahee(n)
Wo-hee Laa Makaa(n) Kay Makee(n) Huay Sar-e-‘Arsh Ta(kh)t Nashee(n) Huay
Wo Nabee Hai Jiss Kay Hai(n) Yay Makaa(n) Wo (Kh)uda Hai Jiss Ka Makaa(n) Nahee(n)
Sar-e-‘Ar(sh) Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-Mulk May(n) Ko-ee Shay Nahee(n) Wo Tujh Pay A’yaa(n) Nahee(n)
Karoo(n) Teray Naam Pay Jaa(n) Fida Na Buss Aik Jaa(n) Dou Jahaa(n) Fida
Dou Jahaa(n) Say Bhee Nahee(n) Jee Bharaa Karoo(n) Kiya Ka(ro)(ro)o(n) Jahaa(n) Nahee(n)
Karoo(n) Madhay Ahle-e-Doel
Mey(n) Gada Hoo(n) Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naa(n) Nahee(n)
Peysh-e-Haq Mu(zh)da Shafa’at Ka Sunatay Jaayeingay
Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay
Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoo(n) Say Wo
Hum Say Piyaaso(n) Kay Liyay Darya Ba-ha-tay Jaayei(n)gay
Haa(n) Chalo Hasrat Zad-oo(n) Suntay Hai(n) Wo Din Aaj Hai
(Th)ee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayei(n)gay
Ku(ch) (Kh)abar Bhee Hai Faqeero(n) Aaj Wo Din Hai Kay Wo
Na’mat-e-(Kh)uld Apnay Sadqay Mey(n) Luta-Tay Jaayei(n)gay
Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
(Kh)ud Wo Girr Kar Sajda(h) Mey(n) Tum Ko Utha –Tay Jaayei(n)gay
Wus’atey(n) Dee Hai(n) (Kh)uda Nay Daaman-e-Mehboob Ko
Jurm (Kh)ultay Jaayei(n)gay Aur Wo (Ch)upatay Jaayei(n)gay
Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseero(n) Kee Taraf
(Kh)irman-e-Is’iyaa(n) Pay Bij-lee Gira-Tay Jaayei(n)gay
Hush-ar Tak Daa-ley(n)-gay Hum Pey-Da-Ish-e-Maula Kee Dhoom
Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayei(n)gay
Khaak Ho Jaayei(n) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(n) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayei(n)gay
Zamee(n)-o-Zamaa(n) Tumhaaray Lee-Yay Makee(n)-o-Makaa(n) Tumharay Lee-Yay
Chuneen-o-Chunaa(n) Tumharay Lee-Yay Bun-Aey Dou Jahaa(n) Tumharay Lee-Yay
Dehen Mein Zubaa(n) Tumharay Lee-Yay Badan May Hai Jaa(n) Tumharay Lee-Yay
Hum Aa-Aey Yahaa(n) Tumharay Lee-Yay Uthay Bhee Wahaa(n) Tumharay Lee-Yay
Isaalat -e-Kul Imaamat-e-Kul Siyaadat-e-Kul Imaarat-e-Kul
Hukoomat-e-Kul Wilaayat-e-Kul (Kh)uda Kay Yahaa(n) Tumhaaray Lee-Yay
Yay (Sh)ams-o-Qamar Yay (Sh)aam-o-Saher Yay Burg-o-(Sh)ajar Yay Baa(gh)-o-
Yay Tey(gh)-o-Sipper Yay Taaj-o-Qamar Yay Hukm-e-Rawaa(n) Tumharay Lee-Yay
Na Rooh-e-Amee(n) Na Arsh-e-Baree(n) Na Lawh-e-Mubee(n) Koi Bhee Kahee(n)
(Kh)abar Hee Nahi(n) Joe Ramzey(n) (Kh)ulei(n) Azal Kee Neyhaa(n) Tumharay Lee-Yay
Jinaa Mei(n) Chama(n) Chama(n) Mei(n) Sa-mu(n) Sa-mu(n) Mei(n) (Ph)abu(n)( Ph)abun Mei(n) Dulha(n)
Saza-Aey May-Hun Pay Aesay Mey-nun Yay Amn-o-Amaa(n) Tumharay Lee-Yay
(Kh)aleel-o-Najee Maseeh-o-Safee Sabhee Say Kahee Kahee(n) Bhee Bun-ee
Ishaaray Say (Ch)aand (Ch)eer Diya Chup-Pay Huay (Kh)oor Ko Phayr Lee-Ya
Ga-Aey Huay Din Ko Asr Kiya Yay Taab-o-Tawaa(n) Tumharay Lee-Yay
Saba Wo (Ch)alay Kay Baa(gh) (Ph)al-Lay Wo (Ph)ool Khilay Kay Din Hoo(n) Bhal-Lay
Leywa Kay Ta-Lay
Server Kahoo(n) Kay Maalik-o-Maula Kahoo(n) Tujhay
Baa(gh)-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoo(n) Tujhay
Subh-e-Watan Pay Shaam-e-Ghareeba(n) Ko Doo(n) Sharaf
Bey-Cus Nawaaz Gey-Sue-Oo(n) Wala Kahoo(n) Tujhay
Allah Ray Teyray Jism-e-Munawwar(Mo-Now-Were) Kee Taa-Bish-Aey(n)
Aey Jaan-e-Jaa(n) Mei(n) Jaan-e-Tajalla Kahoo(n) Tujhay
Mujrim Hoo(n) Apnay Af’oo Ka Samaa(n)
Ya’nee Shafe’e Roz-e-Jaza Ka Kahoo(n) Tujhay
Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hai(n) Bury
Hairaa(n) Hoo(n) Meyray Shah Mei(n) Kiya Kiya Kahoo(n) Tujhay
Keh Lay Gee Sub Ku(ch) Unkay Sana Khuwaa(n) Kee Khaam-Shee
(Ch)up Ho Raha Hoo(n) Keh Kay Mei(n) Kiya Kiya Kahoo(n) Tujhay
Leykin Raza Nay Khatm-e-Su(kh)an Iss Pay Kar Dia
(Kh)aaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoo(n) Tujhay
Za-Hay I’zzat-o-A’et Laa-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Kay Hai Ar(sh)-e-Haq Zeyr Paa-Aey Muhammad(SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Makaa(n) Ar(sh) Unka Falak Far(sh) Unka
Malak Khaad-maan-e-Sa-Raa-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Khuda Kee Raza Chah-
Khuda Chah-Ta Hai Raza-e-Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Dum-e-Naz’a Ja-Ree Ho Mayree Zabaan Per
Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Khuda-Aey Muhammad(SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Mei(n) Qurbaa(n) Kiya Piya-Ree Piya-Ree Hai Nisbat
Yey Aan (Kh)uda Wo (Kh)uda-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Khuda Unko Kiss Piyar Say De(kh)ta Hai
Joe Aankhey(n) Hai(n) Meh-Way Liqa-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Ijaabat Nay Jhuk Kar Gal-Lay Say La-Ga-Ya
Bar-Hee Naaz Say Jab Dua-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Ijaabat Ka Sehra I’nayat Ka Joe-Ra
Dul-Hun Bun Kay Nick-Lee D’ua-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Raza Pull Say Ab Wajd Kartay Guzriyay
Kay Hai Rub-e-(Sal)lim Sada-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
************************************************************************
THIS IS VERY NICE
ReplyDelete