Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata
Kaash Ghumbad-e Khazra dekhne ko mil jaata
Mera dum nikal jaata unke Aastane par
Unke Aastaane ki khaak meh mein mil jaata
Mere dil se dhul jaata daagh-e furqat-e Tayba
Tayba meh fanaa ho kar Tayba meh hi mil jaata
Maut le ke aa jaati zindagi Madine meh
Maut se ga?le mil kar zindagi meh mil jaata
Khuld zaar Tayba ka is tarha safar hota
Peeche peeche sar jaata aage aage dil jaata
Dil pe jub kiran parti unke subz Ghumbad ki
Uski subz rangat se baagh bun ke khil jaata
Furqat-e Madina ne wo diye mujhe sudme
Koh par agar parti koh bhi to hil jaata
Dil pe wo qadam rakhte Naqsh Paa ye dil banta
Yaa to khaak-e-paa bun kar paa se mut?tasil jaata
Un ke Dar pe Akhtar ki hasrate huwi poori
Saa?ile dar?re aqdas kaise munfa?il jaata
FURQATE TAYBA KI WAH?SHAT DIL SE JAAYE KHAIR SE
Furqate Tayba ki wahshat dil se jaaye khair se
Me Madina ko chaloo wo din phir aaye khair se
Dil mein hasrat koyee baaqi rah na jaaye khair se
Raahe Tayba mein mujhe yoon maut aaye kahir se
Mere din phir jaaye ya Rabb shab wo aaye khair se
Dil me jab Maahe Madina Ghar banaaye khair se
Raat meree din bane Unki baqaaye khair se
Qabr me jab Unki tal?at jagmaghaaye khair se
He Ghanee ke dar pe hum bistar jamaaye khair se
Khair ke talib kahaan jaa?enghe jaaye khair se
Wo Khiraame naaz farmaaye jo paaye khair se
Kya bayaan woh zindagee?ho dil jo paaye khair se
Mar ke bi dilse naajaaye ulfaht baage Nabee
Khuld me bi bhaag janaa yaad aaye khair se
Ranjo gham hon benishaan aaye bahaar be khizaa
Mere dil me bhaage janaa ki huwaaye khair se
Istaraf bi do qadam jalwe khiraam naaz ke
Reh?ghuzar me hum bi he aankhe bichae khair se
Ho mujhe seere ghulistaane Madina yoon naseeb
Me bahaaronme chaloo khud ko gumaaye khair se
Zindabaad ae arazoo-e-baaghe Tayba zindabaad
Tere Dhum se he zamaane ke sitaaye khair se
Najdiyo kee cheera dusthee Ya Ilaahee ta?bake
Ye balaaye najd ye Tayba se jaaye khair se
Jhaanhklo aankho me Unkee hasrate Tayba liye
Zaa?ere Tayba Ziyaa?e Tayba laaye khair se
He ye Tayba ka payaame taalibe aaishe dawaam
Jan?nate Tayba me aahistee mitaaye khair se
Sanghe dar se aa mile Tayba me abtojaa mile
Aagaye Dar pe Tere, Tere Dar pe bulaaye khair se
Ghosh bar aawaaz hu Qudsee bi iske gheet par
Baaghe Tayba me jab Akhtar ghunghunaaye khair se
MADINA AANE WALA HAI
Sambhal jaye dil-e muztar Madina aane wala hai
Luta-e chashme tar gohar Madina aane wala hai
Qadam ban ja-e mera sar Madina aane wala hai
Bichu rah meh nazar bankar Madina aane wala hai
Jo dekhein un ka naqsh pa khuda se woh nazar mangoon
Chiraage dil chalo lekar Madine aane wale hai
Karam unka chala yoon dilse kehta rahe Tayba meh
Dille muztar tassalli kar Madina aane wala hai
Nichawar heh Madina ki ye mera dil meri aankhen
Nichawar hoon Madina par Madine aane wala hai
Ilaahi mein talabgaar fana hoon khaak Tayba mein
Ilahi kar nisaare dar Madina aane wala hai
Madina ko chala meh be niyaz rahbare manzil
Raahe Tayba hai khood rahbar Madina aane wala hai
Mujhe khinche liye jaata hai shouqe koocha-e jaana
Kincha jaata hoon mein yeksar Madina aane wala hai
Wo chamka Ghumbade Khazra woh shehrepur zia aaya
Dhale ab noor mein pekar Madina aane wala hai
Jahan se bekhabar hokar chalo khulde Madina mein
Chalo ab hosh ki peekar Madina aane wala hai
Madina mein khule baabe hayaat noa-batarz nou
Badal daalo kahan daftar Madina aane wala hai
Madina aagaya ab der kya hai sirf itni si
Too khaali kar ye dil ka ghar Madina aane wala hai
Falak shaahid zamin par rahgaya khaake guzar bankar
Biche heh raaha mein Akhtar Madina aane wala hai
Qamar aaya hai shaahid un ke talwon ki zia lene
Bicha hai chaand ka bistar Madina aane wala hai
Muhammad ke Ghada kuch farsh wale hi nahein dekhon
Wo ataa hai sha?e khaawar Madina aane wala hai
Ghubaar raha anwar kis qadar poor noor hai Akhtar
Tani hai noor ki chaadar Madina aane wala hai
ZEENATO SAJDA-O BAZME QAZAA MILTA NAHI
Zeenato sajda-o bazme qazaa milta nahein
Lale yakta-e-Shahe Ahmed Raza milta nahein
Wo jo apne dor ka sadeeq tha milta nahein
Mahrame raaze Muhammad Mustafa milta nahein
Ab chiraaghe dil jalaakar ho?sake to doon?diye
Partawe Ghaus-o Raza-o Mustafa miltaa nahein
Aalime sozdaroon kis se kahoon kis se kahoon
Chaara saaze darde dil darde aashinaa milta nahein
Aalimo ka Mu?tabar wo peshawaa milta nahein
Jo Mujas?sam I?lm tha wo kya huwa milta nahein
Zaahido ka wo mus?sallam Muq?tadaa milta nahein
Jispe Naazaa Zaahid tha wo Paarsaa milta nahein
Faro Afraade Zamaan wa? Shayhk Ash Shayake jahaan
Kaamilaane dehr kaawo muntaha milta nahein
Istiqaamat kaawo koha muh?kamo baala tere
Jiske jaane se zamaana hilgayaa milta nahein
Chaariyaaro ki adaa-e jisme te Jalwanuma
Chaariyaro ka wo roshan Aaina milta nahein
Ekh Shaake ghul nahi saraa chaman? andogheen
Mustafa ka andaleebe khushnawa milta nahein
Mufti-e-Azam ka zar?ra kya banaa Akthar Raza
Mehfil-e Anjum me Akhtar doosraa milta nahein
YA GHOUS AL-MADAD
Peer-o ke Aap Peer heh, Ya Ghous al-Madad
Ahle Safa ke meer heh, Ya Ghous al-Madad
Ranjo alam Kaseer heh, Ya Ghous al-Madad
Hum aajozo aseer heh, Ya Ghous al-Madad
Hum kayse jee rahe heh, ye tum se kya kahe
Hum heh alam ke teer, Ya Ghous al-Madad
Tere nazar se pherdo, sare alam ke teer
Kya ye alam ke teer heh, Ya Ghous al-Madad
Tere hi hath laaj hai, Ya Peer-e Dastageer
Hum tere Dastageer heh, Ya Ghous al-Madad
Kis dil se ho bayanee, bedade zaalima
Zaleem bare shareer heh, Ya Ghous al-Madad
Ahle Safa ne paaie, tumse rahe safa
Sab tumse mustaneer heh, Ya Ghous al-Madad
Sadqa Rasool-e Paak ka, jholi mein daaldo
Hum Qadri Fakeer heh, Ya Ghous al-Madad
Dil ki sunaa-e Akhtar, dil ki zaban mein
Kehte yeh behtaneer heh, Ya Ghous al-Madad
CHALDIYE TUM AANK ME ASHKO KA DARYAA CHOR KAR
Chaldiye tum aank me ashko ka daryaa chor kar
Ranje furqat ka har ek seene meh sha?la chor kar
Laz?zat mae legayaa wo jaamo meena chor kar
Mera saaki chaldiya khud me ko tashna chor kar
Har jigar me dard apna mitha mitha chor kar
Chaldiye wo dil me apna naqshe waala chor kar
Jaame mushke liye Arshe Mu?Allah chor kar
Farsh par aaye Farishte bazme baalaa chor kar
Aalim baalaa me har sow marhaba ki ghoonj ti
Chaldiye jab tum zamaane bar ko soona chor kar
Maut Aalim se bundi he maute aalam be ghumaa
Roohe aalam chaldiya aalam ko murdo chor kar
Mut?taqee bun kar dikhaaye is zamaane me koyee
Ekh mere Mufti-e-A?zam ka Taqwa chor kar
Khwaab me aakar dikaawo humko bi eh jaa kabhi
Konsi dunya basaa?ee tumne dunya chor kar
Ekh tum dunya me reh?kar tareek?e dunya rahe
Reh?ke dunya me dikhaaye ko-ee dunya chor kar
Iska eh Sha-e-Zaman saraa zamaana hogaya
Jo tumhara hogayaa saraa zamaana chor kar
Rahnumaye raahe Jannat he Tera naqshe Qadam
Raahe Jannat tena hogee Tera rasta chor kar
Misle ghiro saya-e-duste karam he aaj bee
Kon kehta he gaye wo be?sahaara chor kar
Ho sakhe to dekh Akhtar Baaghe Jannat me isse
Wo gayaa taaro se aaghe aashiyaana chor kar
JAHAA BAANI ATAA KAR DE BHARI JANNAT HIBAH KAR DE
Jahaa Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hibah Kar De
Nabi Mukhtaar-e-Kul Hai Jis Ko Jo Chaahe Ataa Kar De
Jahaa Mai Oon La Chalti Hai Woh Dum Mai Kya Se Kya Kar De
Zamee Ko Aasmaa Kar De Suraiyya Ko Saraa Kar De
Fizaa Mai Urne Waale Yoo Nah Itraaye Nidaa Kar De
Woh Jab Chaahe Jise Chaahe Oose Farmaa Rawaa Kar De
Meri Mushkil Ko Yoo Aasaa Mere Mushkil Kushaa Kar De
Har Ik Mauje Balaa Ko Mere Maula Naa Khuda Kar De
Ataa Ho Bekhudi Mujh Ko Khudi Meri Hawaa Kar De
Mujhe Yoo Apni Ulfat Mai Mere Maula Fanaa Kar De
Jahaa Mai Aam Paighaam-e-Shahe Ahmad Raza Kar De
Palat Kar Peechhe Dekhe Phir Se Tajdeed-e-Wafaa Kar De
Nabi Se Jo Ho Begaanaa Oose Dil Se Judaa Kar De
Pidar Maadar Biraadar Maal-o-Jaa Oon Par Fidaa Kar De
Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar De
Ghamon Ki Dhoop Mai Woh Saaya-e-Zulfe Dotaa Kar De
Kisi Ko Woh Hasaate Hai Kisi Ko Woh Rulaate Hai
Woh Yoo Hi Aazmaate Hai Woh Ab Tau Faislah Kar De
Gule Taybah Mai Mil Jaaoo Gulo Mai Mil Ke Khil Jaaoo
Hayaate Jaawidaani Se Mujhe Yoo Aashnaa Kar De
Oonhe Manzoor Hai Jab Tak Yeh Daur-e-Aazmaaish Hai
Nah Chaahe Tau Abhi Woh Khatm Daur-e-Ibtilaa Kar De
Sage Aawaara-e-Sehraa Se Uktaa Si Gayi Duniya
Bachaao Ab Zamaane Ka Sagaan-e-Mustafa Kar De
Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar Mere Yaawar Hai Woh Yaawar
Balaao Ko Jo Meri Khud Giraftaar-e-Balaa Kar De
No comments:
Post a Comment